Teachers day poem,speech,gifts for teachers,greeting cards ,teachers day image 2014,sms Teacher day speech for teacher ~ Teachers day poem,speech,gifts for teachers,greeting cards ,teachers day image 2014,sms

Friday, 29 August 2014

Teacher day speech for teacher

Nahin hain shabd kaise karoon dhanyavaad,
Bas chahiye har pal aap sabka aashirvaad,
Hoon jahan aaj mai usme hain bada yogdaan,
Aap sabka jinhone diya mujhe itna gyaan.

Dr. Sarvapalli Radhakrishna Ji Swatantra Bharat ke Dusre Rashtrpathi hai.. Unka Janma 5 (Paanch) Sithambar 1888 (Attra Sau Atthasi) ko Tamilnadu ke ek pavitra Thirtha Sthal “Tiruthani” gram mein hua tha.. Inke Pitha Sarvapalli Veeraswamy ek Garib kintu Vidhvan Brahmman they.. Kayin Jimmedhaariyon ke kaaran Radhakrishna ji ko bachpan mein kaafi kathinaayion ka saamna karna pada.. Inke Pitha ek Dhaarmik Vicharon wale insaan they phir bhi unhone Radhakrishna ji ko Ek Christian missionary school, Tirupathi mein padne ke liye Dhaakal kiye they.. Iske Baad vah Tamilnadu ke Vellore aur Madras College mein apna shikshan pure kiye they.. Vah shuru se hi ek medhavi chaatra rahe they..
Radhakrishnaji ke yogyatha ko dekhte huye Unhe Saunvidhaan Nirrmaathri (??????? ??????????) Sabha ka sadasya banaya gaya tha.. Isi beech unhe Khyathi Praapt Vishwavidhyalayon ka chairman padh ke liye Niyukta kiye gaye they. Phir Unhe Upa-Rashtrpathi ka padh sambhalne ka mauka mila.. 1962 (Unnis Sau Baasat) mein Radhakrishna ji ne Rashtrapathi ka padh bhi sambhaala..
Shiksha Aur Rajneeti mein Utkrushta Yogdhan dene ke liye bharat ke pratham Rashtrapathi Dr.Rajendra Prasad ne Mahan Dhaarshanik Shikshavidh Aur Lekhak Dr. Radhakrishna Ji ko Desh ka Sarvocchha(????????) Alankaran “Bharat Ratna” yeh puraskar pradhan kiya..
Shikshak Hume Har Nayi chunauthiyon ka saamna karne sikhate hai.. Shikshak bhagwad geeta ke Krishna Bhagwan jaise hote hai jo hamesha apne chaatra Arjun se kehte they “yatha icchasi tatha kuru” Jiska matlab hai “Swayam Apne Vicharon se Nirnay Lena”.. Isse Chaatra ka vichar aur Aatmavishwas badtha hai..
………….Dhanyawad ……..

2 comments: